Monday, July 27, 2009
Shehtoot
Jab patjhad ki rukhi saansein padti hai uspe
Agle saal uspe acha fal aaye, ye soch k
Maali uske neeche ke tane kaatne lagta hai
Zameen se teen – 2 gaj tak
har shaakh juda kar di jaati hai ped se
ped ke upri hisse pe baithi
apno ko juda hote dekh
bezubaan shaakhein kurlahti rehti hain
basant ki rut aate he
har murjhai hui shaakh
khushi me jhoom uthti hai
pichle saal ke mukable zada fal aaya hai uspe
is patjhad me mai bhi apni purani shakhein kaat dunga
is basant mujhpe bhi zaada fal aayega
Tuesday, July 14, 2009
Adhoora
Purane ghar ke bahar ek lamp post tha
Sadak ke kinare pe, usi k neeche
Baithne ko kuch footpath sa bana hua tha
Hum ghanto wahan baithe apni yaadein taza karte
Raat ka kaunsa pehar nikal jaata, malum he nahi padta tha
Use to bolne ka mauka he na milta,
Meri bak bak band he nahi hoti thi.
Wo bas sir hilake, muskurati
Aur meri taraf tek lagaye dekhti rehti
Mai kehta “pyar ho jayega tumhe mujhse”
“tum” kehne se chid jaati thi wo.
Thoda gussa karti aur meri baat ko taal jaati
Jab ruksati ka waqt aaya to bahut royi thi wo
Aankhon me ashk bhare bhare,
apni sab bhavnayein bayan kardi
mujhse kuch kaha na gaya,
naa hi mai kuch kar paya.
Chup chaap but bane baitha raha uske pehlu me.
aaj jab mera dil kurlah utha, to uski yaad aayi
kuch kehne sun ne ko man kiya.
Use pukara, to awaaz door tak jake laut aayi.
Aur apne sath uske un ashko ki nami le aayi
Wo jaa chuki thi kahin, mujhse door, bahut door
Ab bas mai akela us lamp post ke paas
Kabhi kabhi raat ke kuch pal guzaar leta hu
Man halka ho, to kuch bad badaata hu
Par us muskurahat ke bina, kuch mukammal nahi hai
Sab adhoora hai yahan, sab sunsaan, man ab bhi bhaari hai.
Thursday, July 2, 2009
Laal gulab
Raaste me ik nursery padti thi
Bahar se dekho to har rang k phool khile dikhte the usme
Ek din mai bhi jake ik gulab ka paudha le aaya
Bade armaano se seencha use.
Har shaam paani diya, zarurat same pe khaad daali
Us k alawa har ek cheez us gamle se ukhaad fainki
Maali ne kaha tha laal rang ke honge gulab
Aaj uspe phool aya hai
Sab rang nazar aa rahe hain, ik laal k siwa.