Tuesday, July 14, 2009

Adhoora

Purane ghar ke bahar ek lamp post tha
Sadak ke kinare pe, usi k neeche
Baithne ko kuch footpath sa bana hua tha

Hum ghanto wahan baithe apni yaadein taza karte
Raat ka kaunsa pehar nikal jaata, malum he nahi padta tha
Use to bolne ka mauka he na milta,
Meri bak bak band he nahi hoti thi.

Wo bas sir hilake, muskurati
Aur meri taraf tek lagaye dekhti rehti

Mai kehta “pyar ho jayega tumhe mujhse”
“tum” kehne se chid jaati thi wo.
Thoda gussa karti aur meri baat ko taal jaati

Jab ruksati ka waqt aaya to bahut royi thi wo
Aankhon me ashk bhare bhare,
apni sab bhavnayein bayan kardi


mujhse kuch kaha na gaya,
naa hi mai kuch kar paya.
Chup chaap but bane baitha raha uske pehlu me.

aaj jab mera dil kurlah utha, to uski yaad aayi
kuch kehne sun ne ko man kiya.
Use pukara, to awaaz door tak jake laut aayi.
Aur apne sath uske un ashko ki nami le aayi

Wo jaa chuki thi kahin, mujhse door, bahut door
Ab bas mai akela us lamp post ke paas
Kabhi kabhi raat ke kuch pal guzaar leta hu
Man halka ho, to kuch bad badaata hu
Par us muskurahat ke bina, kuch mukammal nahi hai

Sab adhoora hai yahan, sab sunsaan, man ab bhi bhaari hai.

1 comment:

anusha said...

:)
good job