Wednesday, September 16, 2009

coffee

Ghar ke saamne se jo badi sadak jaaati thi
Usi ke ek mod par, choti si coffee ki dukaan thi

Kayi shaame bitayi hain humne wahan

Shakkar cup me ghole bin
Cheen leti thi mujhse
Meethi jhaag uspe se chat kar jaati
Aur pheeki coffee mere hisse chhod deti
Us pheekepan me magar
ek ajab sa sawad bhar jaata tha
uske hoton ka zayeka tha wo

Ek baar ruthi bhi thi wo,
Ab se pehle ek he baar
Yaad nahi kis baat pe, zaahir hai
Maine he kuch bol diya hoga
Uske paas ki dukaan se ek guldaste me
Uske pasand ke phool dalwaye they

aaj usi dukaan me
ek guldaste me kuch phool sajaye
coffee me shakkar dale
ek nazar, darwaaze ki taraf
tak-taki lagaye baithi hai

intezar me hai ke wo aaye
un phoolon ke sadke he maan jaye
coffee me se meetha ark churaale
aur apne hoton ka pheekapan bhar de

1 comment:

Unknown said...

tum to kamaal likhte ho yaar