Friday, June 26, 2009

Ik Nakaamyaab koshish.....

Kal socha dafn kardu sab kuch
Har ek shae jo yaad dilate hai teri
Shayad nijaad mil jaye kuch is ghutan se

Almari kholi aur bikhri yaadein batorna chalu kiya
Ik card jo tune apne hath se banake bheja tha
Khola to ab bhi usme teri mehak basi hui thi
Kuch paani ki boondo ke nishaan they uspe,
Maano tune bheege baalon se wo moti mere liye bheje ho
Jo phool piroya tha tune aur jo usme likha tha
Sab kitna praya sa lag raha tha
Maano mera koi haq na ho uspe.

Meri apni diary k kuch panne
Jinme tere hone ka ehsaas mehsoos hota tha
Kuch khaas dino ki yaadein
Jinhe mai ta umr sanjo ke rakhna chahta tha
Ek jhatke me alag kar diye

Sab ko juta kar jab apne saamne rakha
To ehsaas hua
Ye cheezein to dafna dunga aaj,
par un yaadon ka kya
Jo zehan me bas chuki hain meri.
Jaise thand me aag sekte hue,
Dhuein ki khusbu bas jaati hai hathon me

Wo aag jo sukoon deti hai, jala bhi deti hai kabhi kabhi.
Ye yaadein bhi kuch aisa he kar rahi hai mere sath.

Fir sabko samho kar, ek lifafe me daala aur kaid kar diya draaj me
Ek din inko yadon k sath he dafnaunga.

No comments: